my site
http://stolenseconds.com
Koi jab puchta he, humari khwaish kya he. Hum bahut soch kar
ek lambi si list man me bana lete he. Or jo sabse jyada pane ki ichha hoti he,
use bayan kar dete he. Sabki apni apni khwaishe hoti he, ajeebo-gareeb. Koi
asmaan me udhna chahta he, koi celebrity banna. Kisi ko
paisa chahiye, kisi ko sukoon. Koi pyar mangta he, koi mukaam. Or hum sab jante
he, is duniya me kisi ko mukammal jahan nahi milta.
Mujhse agar koi puche meri khwaish kya he, me bina kuch
soche samjhe keh deti hu, mujhe Ali Zafar se ek bar milna he or Walt Disney se
bhi, milna nahi to kam se kam Disneyland dekhna he. Esi
khwaish sun kar sab hasenge. Shayad mere pas wo sab he jo kisi ke bhi pas hona
chahiye, tabhi meri esi ajeeb khwaish he. Mujhe proud he aaj me jahan hu, jesi
hu, jin logo ke sath hu.
Par ek ladki he, uski bhi ek khwaish he. Bahut pyari, mast,
bindas jaatni he. Yo Yo Honey singh ki deewani aur awesome English thumke
lagati he. Sabki help karne ko tayyar rehti he. Aur jab gussa aye to typical
jaatni. Hamesha hansti rehti he or hansati rehti he. Par bahut kam log jante he
wo andar se kya feel karti he. Use disease he, jise wo blood allergy batati he.
Pura din dawaiyan khati he. Bahut jaldi bimar padh jati he. Is bar ghar gayi to
kafi din bad laut kar ayi. Bahut bujhe man batati rahi, “Didi, jante he is bar
me ghar gayi to achanak behosh ho gayi. Check up hua to pata chala, meri body
me koi nerve impinge he. Papa ne kaha he exams ke baad treatment start
karwayenge.”
Hum sab bas uska chehra dekh rahe the. Uska hansta hua
chehra us udasi me dhundh rahe the. Kya kahe use, kya samjhaye, hum nahu jante
the. Tabhi usne achanak apni khwaish humare samne rakh di, “Me marna chahti hu,
mujhe nahi jeena.”
Ye sun kar hum hi toot gaye the, to wo kitna toot chuki
hogi, iska andaza bhi hum nahi laga sakte. Bimari ne uska sharer to todd hi
diya tha, aaj man bhi todd diya. Hum use bas hasane ki koshish karte rahe or wo
hume apni khwaish btati rahi. Hum iske siwa kuch kar bhi nahi paye.
Khwaishein kesi kesi
Dekhi humne ek esi
bhi
Hum apne sapne chahte
rahe
Or wo marne ko kehti
rahi
P.S.- I don't know why I wrote this.....