Tuesday, 28 August 2012

Khwaishein kesi kesi


my site
http://stolenseconds.com

Koi jab puchta he, humari khwaish kya he. Hum bahut soch kar ek lambi si list man me bana lete he. Or jo sabse jyada pane ki ichha hoti he, use bayan kar dete he. Sabki apni apni khwaishe hoti he, ajeebo-gareeb. Koi asmaan me udhna chahta he, koi celebrity banna. Kisi ko paisa chahiye, kisi ko sukoon. Koi pyar mangta he, koi mukaam. Or hum sab jante he, is duniya me kisi ko mukammal jahan nahi milta.
Mujhse agar koi puche meri khwaish kya he, me bina kuch soche samjhe keh deti hu, mujhe Ali Zafar se ek bar milna he or Walt Disney se bhi, milna nahi to kam se kam Disneyland dekhna he. Esi khwaish sun kar sab hasenge. Shayad mere pas wo sab he jo kisi ke bhi pas hona chahiye, tabhi meri esi ajeeb khwaish he. Mujhe proud he aaj me jahan hu, jesi hu, jin logo ke sath hu.

Par ek ladki he, uski bhi ek khwaish he. Bahut pyari, mast, bindas jaatni he. Yo Yo Honey singh ki deewani aur awesome English thumke lagati he. Sabki help karne ko tayyar rehti he. Aur jab gussa aye to typical jaatni. Hamesha hansti rehti he or hansati rehti he. Par bahut kam log jante he wo andar se kya feel karti he. Use disease he, jise wo blood allergy batati he. Pura din dawaiyan khati he. Bahut jaldi bimar padh jati he. Is bar ghar gayi to kafi din bad laut kar ayi. Bahut bujhe man batati rahi, “Didi, jante he is bar me ghar gayi to achanak behosh ho gayi. Check up hua to pata chala, meri body me koi nerve impinge he. Papa ne kaha he exams ke baad treatment start karwayenge.”

Hum sab bas uska chehra dekh rahe the. Uska hansta hua chehra us udasi me dhundh rahe the. Kya kahe use, kya samjhaye, hum nahu jante the. Tabhi usne achanak apni khwaish humare samne rakh di, “Me marna chahti hu, mujhe nahi jeena.”

Ye sun kar hum hi toot gaye the, to wo kitna toot chuki hogi, iska andaza bhi hum nahi laga sakte. Bimari ne uska sharer to todd hi diya tha, aaj man bhi todd diya. Hum use bas hasane ki koshish karte rahe or wo hume apni khwaish btati rahi. Hum iske siwa kuch kar bhi nahi paye.

Khwaishein kesi kesi
Dekhi humne ek esi bhi
Hum apne sapne chahte rahe
Or wo marne ko kehti rahi


P.S.- I don't know why I wrote this.....

No comments:

Post a Comment