RAIN……Wash
away pain!!!
Pooja
pichhle aadhe ghante se roye ja rahi thi. Me aur Shubhangi use chup karwate
karwate thak chuke the. Wo phone pe baat kar rahi thi. Fir phone rakhte hi wo
achanak rone lagi. Aur tab se roye ja rahi thi bina hume kuch bataye. Shubhangi,
Pooja aur me 2 saal se roommate he aur yeh humara akhiri saal sath me hoga. Shubhangi
ke liye ye koi nayi baat nahi thi, kyunki me or Pooja chhoti chhoti baaton pe ro
padhte the. Aur wo 10th class se hostel me rah chuki he, hum pahli
bar. Lekin Shubhangi bina kuch bole sirf roye ja rahi thi, aur ab hum kuch
samjh hi nahi pa rahe the. Bahar barish shuru ho chuki thi.
“Le ab to
bhagwan bhi rone lage, ab to bata de hua kya he? Kyu apne keemti tesu bahaye ja rahi he Pooji?”
Shubhangi ne chutki lete hue kaha. Wo har cheez ko bade hi aaram se liya karti
thi. Bahut kam samay mene use pareshan dekha tha. Aur pooja sabse jyada roti
thi, jo ab bhi jari tha.
Shubhangi ne
mujhe dekha. Mujhe nahi pata tha me kya kahu, kisi ko chup karwana mere bas ki
baat nahi thi. Me khud hi itna roti thi. Me apne palang se uth kar unke pas
gayi. “Pooja bas kar yar, ab to kuch bol ya chup ho ja. Le pani pi le warna
sookh jayegi.” Mene bhi uska dil behlane ki koshish ki. Par wo to jese record banane
ko tayyar bethi thi. “Shubhangi pani de ise.”
Shubhangi
table tak gayi fir mujhe ghoorne lagi. “Kya hua ab tujhe?” mene masoomiyat se
kaha.
“Pani nahi
he, tu jane wali thi na?” usne gusse se kaha.
“Wo me bhool
gayi. Sorry, abhi lati hu.” Me khadi ho gayi.
“Tu rehne
de. Kya pata khud ko kahin bhool ayi to? Ek to badh lane pe tuli he, dusri kho
gayi to? Hey bhagwan kahan bhej diya mujhe?” Shubhangi tont marte hue kamre se
bahar chali gayi.
Mene Pooja
ko dekha, wo ab bhi ro rahi thi, us par Shubhangi ki baat ka koi asar nahi
padha tha. Wese wo esi kisi baat se us se ladh jaya karti thi.
Mene uske
hath par hath rakh kar kaha, “Kya hua? Bolna kiska phone tha?”
Usne itni
der me pahli bar nazar utha kar dekha. “Maa ko operation ke liye bola he doctor
ne.” usne sisakte hue kaha.
“Sab theek
ho jayega yar. Aur kya bola doctor ne? Baat jyada serious he kya?”
“Pata nahi. Didi
ne kuch theek se nahi bataya, bol rahi thi ghar aja. Ghar me kuch theek nahi
he. Pichle hafte hi tayaji ne humari dukan pe kabza kar liya tha. Wo baat abhi
suljhi bhi nahi, ab upar se maa ki bimari ke pese. Papa bahut tension me he.” Aur
wo fir rone lagi.
“Chup ho ja.
Ghar ja kar dekh kya baat he. Tu bhi ghabraygi to papa ko kon sambhalega? Sab theek
ho jayega. Abhi tu chup ho ja. Rone se sab theek ho jayega kya?” mene use
samjhane ki koshish ki.
Tabhi zor se
darwza khula.
“Oye! Chalo…
yahan kya betho ho boring logo. Bahar barish ho rahi he chalo beegte he. Ise
kya hua?” Neha ne dhansu entry maari.
“Maa ko yaad
kar rahi he.” Mene baat ko palat diya.
“Kya yaar
tum log. Ghar chali ja to, wese bhi do din chhutti he apni. Abhi chup kar aur
bahar chal sabke sath. Dekh rone se sab theek ho raha ho to ro le. Koi mana
nahi karne wala. Par esa nahi he na? To ganga jamuna band kar aur sab bula rahe
he. Chalo tum dono bahar.” Neha ne hum dono ke hath pakde aur khinchti hui
bahar le jane lagi.
Pooja ne
bahut koshish ki par neha ne mujhe chod use pakad liya. Mene kaha, “Tum chalo
me aati hu.”
“Jaldi aa,
warna tujhe bhi ese le jaungi.” Neha corridor se chillayi.
Mene khidki
pe jakar niche se arahe shor ka muayna kiya. Hostel ki sari ladkiya barish me
masti mar rahi thi. Pooja bhi pahle na-nukur ke baad unme shamil ho gayi.
“Saali
nautanki. Yahan to kese ro rahi thi? Ab dekh ise maze maar rahi he.” Shubhangi
ne mere kaan ke pas se bahar dekhte hue kaha.
Mene palat
kar dekha to wo fir boli, “Ese mat dekh. Sach bol rahi hu. Tu to uski har baat
me ajati he. Sudhar ja.” Wo apna muh bigad kar bed par let gayi.
Mene fir
khidki se bahar dekha. Sari ladkiyan sab bhool kar jese kisi aur duniya me
chali gayi ho. Me janti thi Pooja jhoot nahi bol rahi thi aur na hi uske ansu
jhoote the. Mujhe pata tha Maa ko khone ka gam kya hota he, jo mene 3 saal
pahle mahsoos kiya tha. Pooja thodi der ke liye agar apni pareshani bhool gayi
to isme burai kya thi. Dekha jaye to wahan bheeg rahi har ladki apni pareshani
bhool gayi thi. Hume bhi jana chahiye, kya pata hum bhi bhool jaye.
Me muskura
di. Mene Shubhangi ka hath pakda aur use khinchte hue bahar le gyi, “Chal hum
kyu piche rahe. Aja .”
Aur hum bhi
us barish me bheeg liye, yeh soch kar kya pata jo pareshaniya aansu nahi dho
paye, yeh bearish dho de……..
my site
P.S.- I love rain............. toooooooooo much.. :)
No comments:
Post a Comment