Mene tujhe kabhi nahi dhunda in aansuo me, in tanhaiyo meis gam me, is lamhe me, is uljhan me, is sirhan me
Mene hamesha khoja he tujhe ek muskaan me, ek chahek me
har lamhe me, har khushi me, har nazar me, har mausam meTujhe kabhi dekha nahi, par mehsus kiya he har aahat me
Sochti hu, tu mil jaye kahin rubaru, ab na rahe meri aarzoo me
Lagta he, tu he yahin, roshan subah me, surmayi shaam me
Nahi dhunda tujhe mene in wadiyon me, in sehraaon me
Dekhti hu tujhe me, is chaukhat pe, is aangan me
Chaha he tujhe pana, har khushboo me, har dastak me
Banjaaran khwaishein pati he tujhe, chudiyon me, salwat me
Tu bhi dhundh le kabhi khudko, tujhme nahi, mujh me.........
beautiful :)
ReplyDeletethnx chandra :)
Delete