Khushi ullas ka pal
tham gayaa
Jo hota he khushiyon
ka samaa
Mere liye ek
pashchatap ban gayaa
Yahaan se ant ki
shuruat hui
Phir esi hi kain baat
hui
Pyaar dular khoob
mila
Bas bhaiya se thoda
kam mila
Jahaan use khoob
padho-likho ka ashirwad mila
Wahin mujhe anpadh
rahne ka wardaan mila
Jis umar me
khelna-kudna tha
Us umar me
chuhla-chauka haath laga
Abhi to balpan ko
samjha bhi na tha
Or haath peele kar
sasuraal mila
Maa si saas, bahan si
nanad chahi thi
Aurat ka dusra hi koi
roop dikha
Phir maine jab mujhko janam
diya
Ghar me phir matam
chha gaya
Ek baar phir esa hi
hua
No comments:
Post a Comment