Aaj neele asman ke
tale
Ek hath me kagaz ek
me kalam liye baitha hu
Aj phir in safed
badalo ki cchauv tale
Mann me kuch sawal
liye baitha hu
Saal mahine din pal
badal jate he
Aate jaate har mausam
badal jate he
Mann me uth rahe wo
bawal kyo nhi badal jate
Har wo soch har wo
sawal kyo nhi badal jaate
Aaj phir us bhool
bhulaiya me khada hu
Aaj phir jahan se
chala tha wahin me khada hu
Aaj iske kal uske ho
jate he
Aaj apne kal begane
ho jate he
Kyo me wahin khada
rah jata hu
Sab unhe acha mante
he
Badalte apni rahte
phitrat he
Duniya me unse bahtar
koi nhi he
Sirf itni unki samajh
he
Kyo me aaj bhi nhi
samajh pata hu
Sab kuch bator lena
chahte he
Sansar ko jeb me
karma chahte he
Badle me kuch dena
nhi chahte he
Bas apni ram ram
gaate he
Kyo me unhe khada dekhta
rahta hu
Inhe pasand karma
mushkil he mere liye
Inke jesa banna
namumkin he mere liye
Phir kyo aaj apne se
nafrat he mujhe
Phir kyo inke jesa
banne ki chahat he mujhe
Kyo yeh sawal aaj bhi
nhi chodta mujhe
No comments:
Post a Comment